Bollywood actor Sanjay Dutt ki personal life hamesha charcha mein rahi hai. Unki biopic ‘Sanju’ mein unke kai utaar-chadaav dikhaye gaye. Lekin Sanjay Dutt first wife, Richa Sharma, ko lekar aaj bhi log kai baatein janna chahte hain. Dono ki shadi aur phir Richa ki bimari ne us dauran media mein kaafi surkhiyaan batori thin. Hal hi mein, unki beti Trishala Dutt ne ek podcast interview diya. Isme unhone un purane dinon ke dardnak samay ko yaad kiya. Unhone ek bade sawal ka jawab bhi diya jo aksar log puchte hain. Jab unki maa US mein cancer ka ilaaj karwa rahi thi, toh Sanjay Dutt wahan poore samay kyun nahi ruke? Trishala ke is khulase ne saalon purani afwahon par ab viram laga diya hai.